|
PLEASE NOTE: AsliMasti.com is not responsible for
contents
ENKI GALATI KYA HAI?
Sudhir Nagar
Ek baar mai mathura se roadways bus se delhi aa raha
tha. Bus jaise hi faridabad par kar ke pehli red light
par ruki tabhi ek chota sa lagbhag 7 ya 8 saal ka
bachcha bus mein chadh gaya. usne ek fata purana ganda
sa nikkar aur waisi hi kameez. Uljhe huy bade bade baal.
woh ek bhikhari sa lag raha tha. thodi der to woh chup
chap hi bus ke darwaje ke paas khada raha. par jaise hi
usne apna kaam shuru kiya to sab samajh gaye ki woh ek
bhikhari hai. uska bheekh maangne ka tareeka ekdum alag
tha uske haath mein do ek baraabar pathar ke tukde they
woh unhe aaps mein baja raha tha aur gana gaa raha tha.
Baar baar uske
chehre ke bhawon ka adal badal yatriyon ko lubha raha
tha jaise ki filmi hero karte hain. chehre par banawati
hansi sabhi usey apne paas bula bula kar keh rahe they
yahan unke paas aa kar gana suna. sabhi log us bachche
se apna manoranjan kar rahe they. magar kisi ne bhi uski
banawati hansi ke peechche jhaank kar uske dukhon,
chintaon aur pareshaniyon ko dekhne ki koshish nahi
ki.Kisi ne bhi yeh jan ne ki koshish nahi ki uski fati
hui kameez se jo uska adha dhaka hua pait hai usme
bhookh ki aag bhi ho sakti hai. Kisi ne bhi yeh jan ne
ki koshish nahi ki, ki woh bachcha yeh sab kyun kar raha
hai ? woh bachcha yeh sab kewal aur kewal sirf do
rotiyon ke liye kar raha hai.
Mai un yatriyon se
yeh poochna chahta hoon ki agar un yatriyon mein se kisi
ka bhi bachcha aisa karne par majboor ho jaye to bhi kya
woh usey apne manoranjan ka saadhan banayenge ? kya unhe
achcha lagega ki agar unka bachcha bhi kisi majboori ke
kaaran bason mein isi tarah bheekh maange aur doosre log
usey apne manoranjan ka saadhan banaye us se tarah tarah
ka ganda mazaak karen ? mai samjhta hoon ki sabhi mere
kewal aisa sawal poochne par hi mujhe maarne ke liye
daudenge.
To phir kyun ? kyun woh
log us majboor bachche ki majboori ka majaak bana rahe
they.
Mai yeh nahi jaanta ki
yeh kisne kaha hai ki bachche bhagwaan ka roop hote hain
par jisne bhi kaha hai bahut jaldbaazi mein kaha hoga
usne is baat par achchi tarah se vichaar nahi kiya hoga.
usne shayad yeh nahi socha hoga ki humare desh mein
bhagwaan ka yeh roop bhi samne dekhne ko aayega.
woh
log jo us bachche ka majaak bana rahe they kya woh apne
gharon mein bhagwaan ki pooja nahi karte honge? agar
karte honge to woh mahaj ek dikhawa hai. Jahan ek or
pathar ki moorti ki pooja wahin doosri taraf usi
bhagwaan ke roop ka majaak, ek taraf chchappan bhog aur
doosri taraf do sookhi roti ke liye din bhar musibaton
se joojhna, ek taraf silki kapde to doosri taraf fate
purane paiband lage gande kapde, ek taraf sone ka mandir
to doosri taraf footpath. kya yahi pooja hai ? kya yahi
aastha hai ? agar yehi pooja aur aastha hai to phir un
logon ko bhagwaan ki pechaan hi nahi hai. kya hoga us
bachche ka bhavishya aur na jane uske hi jaise kitne aur
masoom bachchon ka bhavishya jo do roti ke liye din bhar
musibaton se joojhte rehte hain.
mai kabhi kabhi
yeh sochta hoon ki UNKI GALTI KYA HAI? jo woh aisa
janwaron jaisa jeewan jeene par majboor hain.
- Sudhir Nagar (sudhir.nagar11@rediffmail.com)
|